|
Hindi Lyrics gaanv mein mach gaya shor gaanv mein mach gaya shor, o saathi gali mein baj gaya dhol - (2) tu naache main gaau tere ghungaru mere bol o saathi gali mein baj gaya dhol gaanv mein mach gaya shor, o saathi gali mein baj gaya dhol keh le sun le aaj hai mauka, kal mat kehana ho gaya dhoka - (2) laaj sharam ne rasta roka, mann ghugat tan pawan ka jhinka ghunghat mein jal jaayegi tu gori ghunghat khol gaanv mein mach gaya shor, o saathi gali mein baj gaya dhol main naachu tu gaaye mere ghungaru tere bol o saathi gali mein baj gaya dhol - (2) surat murat kaisi kaisi, eknahi par tere jaisi - (2) main toh hoon sab logon jaisi, haay mujhame kya baat hai aisi geet ke mukhade sa mukhada, sangeet se mithe bol are gaanv mein mach gaya shor, o saathi gali mein baj gaya dhol tu naache main gaau tere ghungaru mere bol o saathi gali mein baj gaya dhol, are gali mein baj gaya dhol haay haay meri ungali marodi, are tune meri chudi todi - (2) chhod shikaayat lambi chaudi, shor jyaada chot hai thodi maaru ke chhodu tere saath suluk karu kya bol o o o o gaanv mein are gaanv mein mach gaya shor saathi gali mein baj gaya dhol tu naache main gaau tere ghungaru mere bol o saathi gali mein baj gaya dhol, are gali mein baj gaya dhol bansi bajaaye kishan kanhaiya, o raadha naache ta ta thaiya - (2) tum kyun pichhe chhupake khade ho, tum bhi naacho ganga maiya saans bahu sang sang naache toh, duniya jaaye dol are gaanv mein mach gaya shor o saathi gali mein baj gaya dhol tu naache main gaau tere ghungaru mere bol o saathi gali mein baj gaya dhol are gaanv mein mach gaya shor o saathi gali mein baj gaya dhol - (2)
|
