Get New Lyrics in Email:



  
Hindi Lyrics > Shaurya > Ghabarake Darr Darr Ke

Songs of Hindi Movie - shaurya Hindi Song: Ghabarake Darr Darr Ke
Movie or Album: Shaurya
Singer(s): Adnan Sami, Sunidhi Chauhan
Music Director(s): Adnan Sami, Surendra Sodhi
Lyricist(s): Javed Akhtar, Jaydeep Sarkar

Hindi Lyrics

(ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai) - (2)
deewaare rasta roke toh unase takaraana sikho
jinda rehna hai sar uthaake toh mar jana sikho
ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai

jindagaani ko samajh le khel tu, muskuraake mushkilo ko jhel tu
saari duniya mein nahi tujhsa koyi, tu anokha hai yaha, anmol tu
(ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai) - (2)

chaahe uss duniya mein tu jaaye kahin
haan julm se khaali nahi koyi jami
tu jo chaahe toh mita de julm ko
shart yeh hai tujhko ho khud par yakin
(ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai) - (2)
deewaare rasta roke toh unase takaraana sikho
jinda rehna hai sar uthaake toh mar jana sikho
ghabarake darr darr ke, darr darake mar marake
bas aahein bhar bhar ke jina koyi jina hai

Buy DVD or CD


Google