|
Hindi Lyrics har taraf andhera hai, dur kyun savera hai - (2) sehame sehame manjar hai, suni suni raahein hai - (2) darr rahe hain bachche kyun, kyun udaas maaye hain har khushi ke aangan mein dard ka basera hai - (2) har taraf andhera hai, dur kyun savera hai sehame sehame manjar hai kya huwa hai basti ko, kaisi yeh udaasi hai - (2) jindagi khud apane hi (khun ki pyaasi hai -2) beasar duwaayein hai, waqt ?? pehara hai - (2) har taraf andhera hai, dur kyun savera hai sehame sehame manjar hai sehame sehame manjar hai, suni suni raahein hai darr rahe hain bachche kyun, kyun udaas maaye hain
|
