Get New Lyrics in Email:



  
Hindi Lyrics > Anokha Daan > Madabhari Yeh Hawaye Pas Aaye

Hindi Song: Madabhari Yeh Hawaye Pas Aaye
Movie or Album: Anokha Daan
Singer(s): Lata Mangeshkar
Music Director(s): Salil Choudhary
Lyricist(s): Gulzar

Hindi Lyrics

madabhari yeh hawaye pas aaye, nam lekar mujhko yeh bulaye
madabhari yeh hawaye.........

maine rato se kar lee dosti taro ke liye
aur chura ke liya maine yeh din baharo ke liye
ai jamin aasman mujhko do duwaye
madabhari yeh hawaye.........

maine lehro kee bahen tham kar dhundhe hain bhanvar
sahilo pe kisi ajnabi kee talashi hai dagar
kash le kar unhe lehare laut aaye
madabhari yeh hawaye.........
Hindi Lyrics > Prince > Madahosh Hava Matawali Fiza

Hindi Song: Madahosh Hava Matawali Fiza
Movie or Album: Prince
Singer(s): Mohammad Rafi

Hindi Lyrics

Madhosh Hawa Matwaali Fiza, Sansaar Suhaana Lagta Hai (2)
kar Le Na Kissi Se Pyaar Kahin, Dil Apna Deewana Lagta Hai
madhosh Hawa Matwaali Fiza, Sansaar Suhaana Lagta Hai

raahi Hoon Naya Anjaan Dagar, Pyaara Hai Badaa Jeevan Ka Safar (2)
nikla Hoon Main Apni Masti Mein, Maaloom Nahin Manzil Hai Kidhar
yeh Badhte Hue Bechain Kadam, Aayenge Thikana Lagta Hai
kar Le Na Kissi Se Pyaar Kahin, Dil Apna Deewana Lagta Hai
madhosh Hawa Matwaali Fiza, Sansaar Suhaana Lagta Hai

oh Ho Ho Ho Ho Ho Ho Hey Hey Hey Hey Hey Hey Hey Hey

kar Le Na Kissi Se Pyaar Kahin, Dil Apna Deewana Lagta Hai
madhosh Hawa Matwaali Fiza, Sansaar Suhaana Lagta Hai

pal Bhar Ko Na Hum Aaraam Kare, Do Haath Hazaaron Kaam Kare (2)
kismat Ki Shikaayat Kya Karna, Bhagwan Ko Kyon Badnaam Kare
ek Roz Humare Haathon Se Badlega Zamana Lagta Hai
kar Le Na Kissi Se Pyaar Kahin, Dil Apna Deewana Lagta Hai
madhosh Hawa Matwaali Fiza, Sansaar Suhaana Lagta Hai

jo Aag Tumhaare Dil Mein Lage Uss Aag Mein Mera Dil Bhi Jale Ha Ha 
jo Aag Tumhaare Dil Mein Lage Uss Aag Mein Mera Dil Bhi Jale
dhanwaan Ho Ya Nirdhan Ho Koyi Data Ki Nazar Mein Ek Hue
insaan Se Rishta Insaan Ka Iss Jag Mein Puraana Lagta Hai
kar Le Na Kissi Se Pyaar Kahin, Dil Apna Deewana Lagta Hai
madhosh Hawa Matwaali Fiza, Sansaar Suhaana Lagta Hai

Buy DVD or CD


Google