Get New Lyrics in Email:



  
Hindi Lyrics > Ghar Ghar Ki Kahani > Sama Hai Suhana Suhana, Nashe Mai Jahan Hai

Hindi Song: Sama Hai Suhana Suhana, Nashe Mai Jahan Hai
Movie or Album: Ghar Ghar Ki Kahani
Singer(s): Kishore Kumar
Music Director(s): Kalyanji-Anandji
Lyricist(s): Hasrat Jaipuri

Hindi Lyrics

sama hai suhana suhana, nashe mai jahan hai
kisiko kisee kee, khabar hee kahan hai
har dil me dekho, mohabbat jawan hai
hm mm mm hmm mm mm... sama hai suhana suhana.......

hm mm mm hmm mm hm mm mm.........
keh rahee hai najar najar se afsane hm mm mm.....
keh rahee hai najar najar se afsane
ho raha hai asar ke jisko dil jane
dekho yeh dil kee ajab dastan hai
najar boltee hai, dil bejuban hai
hm mm mm, hmm mm mm.....
sama hai suhana suhana

ho gaya milan dilo kaa mastana
hm mm mm........
ho gaya milan dilo kaa mastana
ho gaya hai koyee kisee kaa divana
jahan dilruba hai, dil bhee wahan hai
jise pyar kahiye, wahee darmiyan hai
hm mm mm, hmm mm mm.....
sama hai suhana suhana, nashe mai jahan hai
kisiko kisee kee, khabar hee kahan hai
har dil me dekho, mohabbat jawan hai
hm mm mm.......
Hindi Lyrics > Anhoni > Sama Ke Dil Me Hamare Jara Kayal Rahe

Hindi Song: Sama Ke Dil Me Hamare Jara Kayal Rahe
Movie or Album: Anhoni
Singer(s): Talat Mehmood, Lata Mangeshkar
Music Director(s): Roshan Lal
Lyricist(s): Talat Mehmood

Hindi Lyrics

sama ke dil me hamare jara kayal rahe
hame naa koyi pukare jara kayal rahe

bahar ban ke koyi iss chaman me aa hee gaya
hamare soye huye pyar ko jaga hee gaya
javan huye hain najare jara kayal rahe
hame naa koyi pukare........

yeh dil kaa dard nigaho kee pyas dhokha
jamin pe rah ke sitaro kee as dhokha hai
yeh sabzo bag hain sare jara
hain pyase nain bechare jara kayal rahe

naa dagamaga de yeh kashti bhanvar jamane kaa
yahi toh waqt hai manjhi ko aajmane kaa
naa chhut jayey kinare jara kayal rahe
hain pyase nain bechare jara kayal rahe

yeh git gate huye mast wadiyo kee kasam
mai ik tumhare ishare pe rakh rahi hu kadam
ham abb huye hain tumhare jara kayal rahe
hain pyase nain bechare jara kayal rahe
sama ke dil me hamare........
Hindi Lyrics > Kartoos > Samajh Sake Naa Log Sayane

Hindi Song: Samajh Sake Naa Log Sayane
Movie or Album: Kartoos
Singer(s): Nusrat Fateh Ali Khan
Music Director(s): Nusrat Fateh Ali Khan (Ustad)
Lyricist(s): Majrooh Sultanpuri

Hindi Lyrics

samajh sake naa log sayane
ishk kaa rutaba rutaba ishk hee jane

iss duneeya kaa khel rachaya, ishk kee khatir aap khuda ne
ishk kaa rutaba

duneeya bhula dee ishk ne apni mana dee ishk ne
dilvale jal gaye shauk se jab aag laga dee ishk ne
jogee bana de ishk ishk, rogee bana de ishk ishk
sulee chadhaye ishk ishk, jina sikha de ishk ishk
jisko diya dil jan bhee usiko do, jalake kahe paravane
ishk kaa rutaba............

kissa purana ishk kaa, dushman jamana ishk kaa
jisko laga majanu bana, ulata nishana ishk kaa
ninde chura le ishk ishk, raate jaga de ishk ishk
jee ko jalaye ishk ishk, pagal bana de ishk ishk
jitane bhee laya dukh shikava kabhee naa kare
chup hee rahe divane
ishk kaa rutaba............
Hindi Lyrics > Kajal > Samajhee Thee Ke Yeh Ghar Meraa Hai

Hindi Song: Samajhee Thee Ke Yeh Ghar Meraa Hai
Movie or Album: Kajal
Singer(s): Asha Bhosle
Music Director(s): Ravi
Lyricist(s): Sahir Ludhianvi

Hindi Lyrics

samajhee thee ke yeh ghar meraa hai
malum huwa mehman thee mai
ho jinhe apana apana kahatee thee
ho unn sabake liye anajan thee mai

iss tarah naa mujhko thukarao, ik bar gale se lag jao
hay mai abb bhee tumharee hu logo, rutho naa agar nadan thee mai

meraa khoya huwa bachpan la do mujhe
kya dosh huwa samajha do mujhe
woh honth bhee naa kyon kahate hain
jin hontho kee muskan thee mai

tum shad raho aabad raho, abb mai tum sabase dur chalee
hay parades banee hain woh galiya, jin galiyo kee pehchan thee mai
Hindi Lyrics > Baazigar > Samajhkar Chand Jisko Aasman Ne

Hindi Song: Samajhkar Chand Jisko Aasman Ne
Movie or Album: Baazigar
Singer(s): Vinod Rathod, Alka Yagnik
Music Director(s): Anu Malik
Lyricist(s): Zameer Kazmi

Hindi Lyrics

samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai - (2)
mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai - (2)
samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai - (2)
meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai - (2)

tere mehendi lage hatho me jab hudi khanakti hai
toh iss gori kalayi me (yeh dil banke dhadakti hai - 3)
yeh chudi aashiko ko pyar ke nagme sunati hai
suhani rat ki khamoshiyo me hir gati hai
yeh chudi hir gati hai - (2)
jamin par jo utar aaya yeh woh jannat kaa nagma hai
samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai
mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai
meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai

mere mehbub jaisa iss jamane me nahi koyi
diya leke bhi dhundo toh (nahi aisa hasi koyi - 3)
kabhi tute se tute naa hamare pyar ki dori
teree chahat bhi bas mere liye anmol hai gori
badi anmol hai gori - (2)
juda ham tum nahi honge humara tumse wada hai
samajhkar chand jisko aasman ne dil me rakha hai
meree najro se dekho toh woh mere dil kaa tukda hai
mere mehbub ki tuti huyi chudi kaa tukda hai
Hindi Lyrics > Rishi > Samajho Na Sanbhalo Na

Songs of Hindi Movie - rishi Hindi Song: Samajho Na Sanbhalo Na
Movie or Album: Rishi
Singer(s): Rishi

Hindi Lyrics

samajho na sanbhalo na, raat ko baahon mein bhar lo na
main bhi hoon, main nahi bhi hoon
shaam ki main mast ghadi hoon
samajho na sanbhalo na, raat ko baahon mein bhar lo na

mujhe nahi khabar ?? kahaan sehar
abhi abhi ki hoon main humsafar
idhar udhar idhar thirakati hai nazar
kya jaane tumse hi mil gayi agar
samajho na sanbhalo na, raat ko baahon mein bhar lo na - (2)

jo soch lo mujhe toh saamane khadi
jo bujh rahi sanaki woh pyaas hoon teri
har shaam aise hi jalaati rahu
subah ek angadaayi banake kahu

samajho na sanbhalo na, raat ko baahon mein bhar lo na - (2)
Hindi Lyrics > Unknown > Samandar Ke Jaisa Gehra

Hindi Song: Samandar Ke Jaisa Gehra
Movie or Album: Unknown
Singer(s): Unknown

Hindi Lyrics

Samandar Ke Jaisa Gehra
paharon Ke Jaisa Uncha
chandni Ke Thandak Jaisa
baharon Nazaron Jaisa
pehli Pehli Barish Jaisa
phoolon Ki Khushboo Jaisa

(samajh Ne Parakne Wala
chahat Mein Marne Wala Ho..o) - 2
pyar Nahi Hai Yahaan

kitabon Nisabon Jaisa
purane Hisabon Jaisa
mohobat Mein Marne Wala Pyar Na Raha
heer Jaisa Ranjhe Jaisa
lela Ke Majnu Jaisa
sahiba Ke Mirza Wala 
pyar Na Raha

chehre Ke Peeche Yahaan
aur Koi Chehre Hai
har Taraaf Andhera Hai
nafraton Ke Saaye Hain
aapne Bhi Paraye Hain
benaam Hai Mohobat

(samajh Ne Parakne Wala
chahat Mein Marne Wala Ho..o) - 2
pyar Nahi Hai Yahaan

kitabon Nisabon Jaisa
purane Hisabon Jaisa
mohobat Mein Marne Wala Pyar Na Raha
heer Jaisa Ranjhe Jaisa
lela Ke Majnu Jaisa
sahiba Ke Mirza Wala 
pyar Na Raha

(samajh Na Joh Chaho Toh Hai Choti Si Baat
dhoondo Tum Aapne Aandar Pyar) - 2

(samajh Ne Parakne Wala
chahat Mein Marne Wala Ho..o) - 2
pyar Nahi Hai Yahaan

(kitabon Nisabon Jaisa
purane Hisabon Jaisa
mohobat Mein Marne Wala Pyar Na Raha
heer Jaisa Ranjhe Jaisa
lela Ke Majnu Jaisa
sahiba Ke Mirza Wala 
pyar Na Raha) - 3

posted By : Aksha
Hindi Lyrics > Jawani Diwani > Samane Yeh Kaun Aaya Dil Me Huyee Halchal

Hindi Song: Samane Yeh Kaun Aaya Dil Me Huyee Halchal
Movie or Album: Jawani Diwani
Singer(s): Kishore Kumar
Music Director(s): R D Burman
Lyricist(s): Anand Bakshi

Hindi Lyrics

samane yeh kaun aaya dil me huyee halchal
dekh ke bas ek hee jalak ho gaye ham pagal
baate mulakaate hamse bhee toh hogee
hamse khulenge woh aaj nahee toh kal

rehana hain yaha toh dono hain jawan toh
bhala dur kaise rahenge
maana woh hasin hai par ham bhee kam nahee hain
woh magrur kaise rahenge

aankhon hee aankhon me bato hee baton me
kabhee jan pehchan hogee
sun lo yeh kahanee hasina yek anjanee
kisee din meharban hogee
Hindi Lyrics > Bhoothnath > Samay Ka Pahiya Chalata Hai

Songs of Hindi Movie - bhoothnath Hindi Song: Samay Ka Pahiya Chalata Hai
Movie or Album: Bhoothnath
Singer(s): Hariharan, Sukhwinder Singh
Music Director(s): Vishal-Shekhar
Lyricist(s): Javed Akhtar

Hindi Lyrics

krodh ke bojh ko mann pe uthaaye kaahe chalata hai praani
kshama jo shatru ko bhi kar de, wahi mukt hai, wahi gyani

(samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai
raat mein jab ek chhota sa, nanha sa dipak jalata hai
usaki jarasi jyot sahi, par dur se usako dekh koi barso ka musaafir
girte girte sanbhalata hai) - (2)
samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai

maine jaate jaate jaana kaun hai apna kaun paraaya - (2)
bas tu hi mera apna hai, bas tune pyaar nibhaaya
kaam krodh aur lobh main dhaj?? kar ja sakata hoon
tujhko chaahu bhi toh main kaise bhula sakata hoon
tera pyaar bhi ek bandhan hai, tu hi bata kya main mukti pa sakata hoon
tu nahi jaanata tu mera abb hai kya
tujhko hoon dekhata toh dil kaise pighalata hai
samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai

din mein soya, raat aayi toh abb jaaga soya kab tha - (2)
abb kya suraj dhunde pagale, dub gaya suraj kab ka
barso pehle jo thi ik nadi pyaar ki beh gayi woh nadi
haath abb tu kya malata hai
samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai
raat mein jab ek chhota sa, nanha sa dipak jalata hai
usaki jarasi jyot sahi, par dur se usako dekh koi barso ka musaafir
girte girte sanbhalata hai
samay ka pahiya chalata hai, din dhalata hai, raat aati hai

aasma mein jagmag taare, meri aankh mein jhilmil aansu
kaha chhupa hai koi isaara toh de de tu
Hindi Lyrics > Karm > Samay Too Dhire Dhire Chal

Hindi Song: Samay Too Dhire Dhire Chal
Movie or Album: Karm
Singer(s): Asha Bhonsle, Kishore Kumar
Music Director(s): R D Burman
Lyricist(s): Raajkavi Indrajeet Singh

Hindi Lyrics

(samay too dhire dhire chal - (2)
saree duneeya chhod ke pichhe
aage jau nikal, mai toh aage jau nikal
pal pal ho pal pal) - (2)
samay too dhire dhire chal - (2)

yeh rut aur yeh pyara sama, sara jivan thahre yaha
pyar kee raho me khoyee rahu, teree baaho me soyee rahu
aaj kaa din meree mutthee me hai
kisne dekha kal, arrey kisne dekha kal
pal pal ho pal pal
samay too dhire dhire chal - (2)

ruk jaye ghadiya ruk jaye chhin, rat kee julfo me bandh jaye din
naa mai mai rahu naa tum tum, ik duje me ho jaye gum
ban ke shama parvana dono
pyar me jaye jal, ham toh pyar me jaye jal
pal pal ho pal pal
samay too dhire dhire chal - (2)
saree duneeya chhod ke pichhe
aage jau nikal, mai toh aage jau nikal
pal pal ho pal pal
samay too dhire dhire chal - (2)

chhota sa ho apna ghar, naa kuchh fikre naa koyee dar
hardam aisa vakt rahe, aankho se naa aansu bahe
dharatee parvat hil sakte hain, apni prit atal dekho apni prit atal
pal pal, ho pal pal - (2)
samay too dhire dhire chal - (2)
saree duneeya chhod ke pichhe
aage jau nikal, mai toh aage jau nikal
pal pal ho pal pal - (2)
samay too dhire dhire chal - (3)

Buy DVD or CD


Google