|
Hindi Lyrics (shaam-e-firaaq abb na puchh, aayi aur aake tal gayi dil tha ke phir behal gaya, jaa thi ki phir sambhal gayi) - (2) shaam-e-firaaq abb na puchh kajme khayaal mein tere husn ki shamma jal gayi - (2) dard ka chaand bujh gaya, hijrr ki raat dhal gayi shaam-e-firaaq abb na puchh jab tujhe yaad kar liya, subaho mehak mehak uthi - (2) jab tera ghum jala liya, raat machal machal gayi shaam-e-firaaq abb na puchh, aayi aur aake tal gayi aakhir-e-shab ke hamsafar faiz na jaane kya huye - (2) reh gayi kis jagah saba, subaho ke ghar nikal gayi shaam-e-firaaq abb na puchh, aayi aur aake tal gayi dil tha ke phir behal gaya, (jaa thi ki phir sambhal gayi -3)
|

.jpg)