|
Hindi Lyrics yuun nind se woh jaan-e-chaman jaag uthi hai - (2) pardes mein phir yaad-e-watan jaag uthi hai yuun nind se woh jaan-e-chaman phir yaad hamein aayein hain, saawan ke woh jhule - (2) woh bhul gaye hamako unhein nahi bhule, unhein nahi bhule iss dard ke kaanton ki chubhan jaag uthi hai pardes mein phir yaad-e-watan jaag uthi hai iss shehar se achchha tha bahot apana woh gaanv - (2) panghat hai yahaan koyi na (pipal ki woh chhanv - (2) pachchhim mein woh purab ki pawan jaag uthi hai pardes mein phir yaad-e-watan jaag uthi hai yuun nind se woh jaan-e-chaman hum log sayaane sahi deewaane hai lekin begaane bahot achchhe hai (begaane hai lekin -2) begaano mein apano lagan jaag uthi hai pardes mein phir yaad-e-watan jaag uthi hai yuun nind se woh jaan-e-chaman jaag uthi hai
|
